Sehat Care Hub
Meva gurمیوہ والا گڑ
Meva wala gur order par banta hai. Aap har meva aur har kilo mein us ki miqdaar khud chunte hain, aur qeemat saath saath badalti hai.
Rs 580 se shuru per kilo
Kam az kam order 2 kilo, gur, shakkar aur khand mila kar. 5 kilo ya zyada par har kilo par Rs 30 kam. Delivery alag hai.

Apna meva chunein
In mein se chunein: badam, akhrot, kaju, pista, khopra, kishmish, mungphali, bagher chilke ke bhune chane, til, saunf, sonth aur elaichi. Har baar dabane par har kilo gur mein us meve ke 100 gram barhte hain. Elaichi 20 gram ke hisaab se.
Qeemat kaise banti hai
Gur Rs 480 per kilo, banane ke Rs 100 per kilo, aur aap ka chuna hua meva. Hamare home page ki shop mein per kilo qeemat saath saath nazar aati hai.
Miqdaar aur waqt
Meva wala gur sirf aap ke liye banta hai, is liye kam az kam 10 kilo ka order hai. Banne mein taqreeban 3 din lagte hain, phir courier se bheja jata hai. Payment pehle hoti hai, aur banna shuru hone ke baad order cancel nahi hota.
Kis ke liye achha hai
Sardiyon ki chai, khandan ke liye tohfa, aur mehmanon ke saath.
Sawal jawab
Meva wale gur ka kam az kam order kitna hai?
10 kilo, kyunke ye ek saath banta hai.
Kitne din lagte hain?
Banne mein taqreeban 3 din, phir aap ke shehar ki delivery ka waqt.
Kya main meve ki miqdaar khud chun sakta hoon?
Ji haan. Shop mein har meva aur per kilo miqdaar aap khud chunte hain.
Sehat Care Hub se aur
Update 16 November 2026